
[Verse] Aasaan nahi yahaan aashiq ho jaana Palkon pe kaanton ko sajaana Aashiq ko milti hai gham ki saugaatein Sabko naa milta yeh khajaana [Verse] Baaton se aage, waadon se aage Dekho zara tum kabhi ho o.. Yeh to hai shola, yeh hai chingari Yeh hai jawaag bhi [Verse] Jismon ke peechhe bhaage ho phirte Utro kabhi rooh mein ho.. Hota kya aashiq, kya aashiqhi hai Hogi khabar tab tumhein